Maa Banni… Mirror Se Nazar Milaani Chhod Di
Bachcha hone ke baad sab log bolte hain — “Oh wow! You’re glowing!” Par main jab mirror dekhti thi, toh sirf ek sawaal aata — “Yeh kaun hai?” Woh belly, jo pehle abs banne ka sapna dekhti thi, ab ek soft pouch ban chuki thi. Stretch marks, hair fall, pigmentation… list lambi hoti gayi aur confidence chhota.
Delivery ke baad jab pehli baar apne purane kapde pehne ki koshish ki, toh zippers aur buttons ne mujhe “No Entry” bol diya. Maa ban gayi thi… par khud se rishta jaise thoda toot gaya tha. Jaise main apne hi reflection ko pehchaan nahi pa rahi thi.
Our Products
Ek din meri maa ne kaha — “Tu pehle bhi khoobsurat thi… aur ab toh aur bhi zyada.” Mujhe laga, she’s just being nice. Par phir maine apne baby ko dekha… woh mujhe isi body mein hug karta hai, isi haath se comfort leta hai… uske liye main perfect hoon.
Shayad problem body ka nahi, perception ka tha. Body ne toh ek miracle kiya hai — ek jaan ko paida kiya hai, sulaaya hai, uthaya hai, sambhaala hai… par society ne hamesha yeh dikhaya ki postpartum body ek “problem” hai, jise fix karna zaroori hai.
Jab main apne baby ke liye diaper choose kar rahi thi, tab bhi yahi socha — “Safe hona chahiye, soft hona chahiye, reliable hona chahiye.” Tabhi maine Teddyy Premium Diaper Pants liya — anti-rash, cottony soft, anti-bacterial. Aur tab ek khayal aaya… agar baby ke liye itni softness chahiye, toh mere liye bhi thodi softness banti hai, thoda patience, thoda self-love.
Aaj bhi kabhi kabhi mirror dekhkar purani jeans aur purane “mein” ki yaad aati hai… par ab sirf apni shape nahi dekhti, apni strength dekhti hoon. Woh strong, thaki hui, aur pyari maa, jisne sab jhela, sab saha, aur phir bhi pyaar diya.
Maa banna… sirf ek baby ka janm nahi, ek nayi “main” ka bhi janm hai. Aur har naye version se, dosti banane mein thodi der toh lagti hi hai. Mirror ab bhi wahi hai… bas nazar badal gayi hai.



